Surah Al-Fatiha ka Taruf
Surah Fatiha yeh namaz ka rukun hai isliye jis shaks ne surah fatiha na parhi ho namaz mein uski namaz nehin hoti.
Surah Fatiha ko arbi mein kholne ko kehte hai fatiha ka matlab hai kholne wali kurane pak ki ipteda isi se hoti hai isse Quran E pak khilta hai.
Hazrat Abu huraira raziallahu anu farmate hai ki aap sallelahu alehi wasallam farmate hai surah alhumdulillah hi ummul kitab ummul quran aur dohrai hui 7 ayate hai is surat ka nam ashshifa bhi hai jiski fazilat quran mein ai hai quran ki koi bhi aisi surat nehin hai jo surah akhlaf bhi ki aur jiski fazilat quran mein ai ho siwah surat Al Fatiha ke
Surah Al-Fatiha
A’uzu billahi minash shaitan ir-razim
Bismillah hir-rehman nir-rahim.
Alhumdulillah hirabbil alamin
Ar-rehman nir-rahim
Maliki yawmid-deen
Iyyaka na’budu wa iyyaaka nastaeen
Ihdinas siratal mustakim
Siratalla-zina an’amta alayhim magdoobi alayhim wa lad-daalleen
Ameen..
Tarjuma: mein panah chahta hu Allah ki shaitan mardood se .
Suru karti hu Allah ka naam lekar jo bohot meherban aur bar bar reham farmane wala hai.
Sab tarif allah ke liye hai jo rab hai tamam jahan ka .
Jo bara meherban aur bar bar reham farmane wala hai
Jo malik hai badle (qayamat) ke din ka.
Sirf teri ibadat ham karte hai aur tujhse ham madad chahte hai .
Sidha rasta dikha humko
Un logon ke rasta jin par tune inam kiya .
Jo nehin gadab hua aur na hi wo bhatke hai.
Ye allah ye dua meri qabool farma .
Surah Al-Fatiha ki Fazilat
- Surah Fatiha behtarin dam hai har bimari se shifa ka jariya hai isliye ise parh kar apne uppar dam kiya kare.
- Surah Fatiha afzal sura hai barhal ise apne duaon mein jarur shamil karni chahiye.
- Surah fatiha aur dusri surah Al baqara ki akhri 2 ayat aap sallallahu alaihi wasallam ne in dono mein se jab bhi koi kalima tilawat karenge to ap sallelahu alaihi wassalam ko mangi hi talab garda chij jarur ata ki jayegi ise sehi muslim ne riwayat ki hai .isliye fazilat ke aitbar se qurane pak ki sabse afzal surat surah Al-Fatiha hai
Rozana Zindagi mein Surah Al-Fatiha ki Ahmiyat
Allah tala ka har kalam ak behtarin sifa hai or allah ki taraf se ane wali hum per rehmat hai ,uski har kalam behtarin, barkato , sifa or bohot ajmat wala hai .usi trah surah fatiha bhi ak behtarin allah tala ka kalam hai.
Ese hame rojana apne jindegi mein pahna chahhiye taki hame allah subhanu tala ka rehmat hasil ho or uska barkat bhi.
Namaz mein Surah Al-Fatiha ki Tilawat
Har namaz mein surah Fatiha ka tilawat yani parhna jaruri hai kyunki ye namaz ka rukun hai iske bina namaz nehin hoti to ise padhna bahut jaruri hai. Surah fatiha bohot hi rehmato or barkaton wala surah hai isliye allah tala ne hame ese namaz mein parhne ka hukum diya hai lihaja hame ye surah yad karni chahiye or har namaz mein padhni chahiye .
Surah Al-Fatiha se Roohani Faide
Surah fatiha ak behtarin dam hai, jab bhi koi bimar pareh to apne upper surah fatiha ko parh kar dam kare inshallah iski sifa milegi ,allah subhanu tala ka qurb hasil hoga .
Surah Al-Fatiha parhne ka Sahi Tarika
Surah Fatiha usi trah parah jayega jis trah baki surah ya quran e karim parhi jati hai. Surah fatiha namaz mein jarur pari jani chahiye kyunki eske bina namaz hi nahin hoti . surah fatiha bohot behtarin surah hai to ese hum kabhi bhi parh sakte hai chalte firte koi bhi kam karte hua parh sakte hai. Bathroom ke andar nahi parh sakte yeh tak ki allah tala ka koi bhi kalam hum napak jagah nahi parh sakte even allah ka nam bhi bathroom ke andar nahi lena chahiye kyunki wo napak jagah hai .
Surah Al-Fatiha ki tilawat namaz ka ek ahem hissa hai aur iska har roz padhna zaroori hai. Islamic Jankari ke zariye humne iske tarjuma aur fazilat ko samjha hai. Is Surah ka amal se humein Allah ki rehmat aur shifa milti hai. Rozana apni zindagi mein isse shamil karein.
